In the name of Love

Friday, July 08, 2005

Mein Kya Karoon

Sawab ka mein karoon kya aur gunah ka mein kya karoon
Maqsad hai mera bekhudi to is jaza ka mein kya karoon.

Mein ne paya hai jub har shai mein tujh hi ko
Bata de mujhe phir masjid ka mein kya karoon

Banaya nahi khuda ne arsh par, magar insa’n ne zamee’n par
Is barhte huay jalte huay doazakh ka mein kya karoon

Darja mujhe mile fatwon ko jaan kar
Par tujh ko jaane baghair mili is behisht ka mein kya karoon

Milta hai sukooo’n milti hai khushi bus teri hi yaad mein
Kuch aur nahi bhata mujhe is yaaddasht ka mein kya karoon

Nazar aate ho usi jalal mein ghurbat o saadgi mein
Jo bhula de An-Al-Haq ko us dolat ka mein kya karoon

Chala tha sumujh kar ke manzil khuda hai
Mil gaya raah mein tu, teri is ada ka mein kya karoon

Sunta hoon buhat ghour se ke teri awaz sunoo’n
Milti hai apni awaz mein teri awaz mein kya karoon

Bheje tu ne rasool, hum ne yaad kya un ka paigham
Bhool gaye par tujh ko, is silsile ka mein kya karoon

Uthata hoon qalam to rukte nahi khayalat
Rokta hai bus zamana magar in jazbat ka mein kya karoon

Parhe ga jo shakhs bhi is nazm ko meri
Matha peete ga aur soche ga is deewane ka mein kya karoon

1 Comments:

At August 31, 2005 at 2:42 PM, Blogger Sarfaraz Ahmed Soomro said...

very deep and touchy; this is the best one for me:

Mein ne paya hai jub har shai mein tujh hi ko
Bata de mujhe phir masjid ka mein kya karoon

BTW i also read ur article in the Watt mag and I am looking forward to meet you. I am impressed:)

 

Post a Comment

<< Home